Categories
Kora Kaaghaz Life | Zindagi

A Conversation With a Prostitute

I am not sure what I was thinking when I stopped the car and signaled her to come in and sit. I am sure I was never going to get laid. I was not in the mood to have sex with her and never wanted to trespass her dignity. I was not raised up like that.

However,

I had a lot of questions buzzing in my mind about these street hookers. I thought to myself,

“Why not get the answer to them today from a Prostitute?”

This is by far one of the most haunting experiences I have had in my life.

Caution: The conversation is filled with extremely profanity.

conversation-with-a-prostitute

Me: “Baithjao.”

Prostitute: “Kya karwayega? Double ya single? Double k charge bhi double hunge! Topi hai naa tere paas? Branded topi honi chahiye. Saathi ki toh topi bhi dhoka dedeti hai!”

Me: “Main ne sirf baithne ka bola hai. Pehle baithjao, traffic bahot hai. Phir decide karte hain kiya karna hai.”

She sits in the car and takes off her burqa. By the looks of it, she must be around 25 (+/- 2 years). She is wearing nice clothes and have a good perfume on her.



Prostitute: “Dekh launde…pehle hi batarahi hun. Kamra tera hi hoga. Mere ko yeh hotel wagaira k chakkar main nahin phasna hai. Wahan pange bahot hote hain. Aur haraamkhor aggar tu ne recording kar k porn video banayi aur upload ki toh teri gaandh maarne main mujhe time nahin lagayga. Meri pahunch upar tak hai!”

Me: “Theek hai. Aur kuch?”

Prostitute: “Aur condom durex waala hai naa? Aggar sharaab peeta hai toh main woh bhi branded hi lungi. Sharaab pee kar karwayega toh charge triple hojaayega. Main 2 glass main hi behekjaati hun.

Me: “Sahi. Aur kuch?”

Prostitute: “Wese sub chhor…yeh bata tere paas maal toh hai naa ya kanjar hai?”

Me: “Kitna chahiye?”

Prostitute: “Wah re! Kitna hai? Rupiye k ilawa taangon k beech main bhi maal hai naa? Khara hota hai naa tera? Ya leaning tower of pisa hai? *She laughs out loud*

And continues…

“Main choosungu nahin…pehle hi batarahi hun! Mun ki service nahin deti main. Koshish bhi ki toh kaat dungi.”

Me: “Sub kuch hai. Fikr mat karo, main aisa kuch nahin karunga.”

Prostitute: “Tu itna hi kam bolta hai ya teri parchi abhi pehli baar katrahi hai? Aur kahan le kar jaraha hai haraami? Aisa waisa kuch kiya naa toh teri hi gaandh maardungi main!”

By this time, we were in a posh locality that was not much crowded and it was easier to actually do what I wanted to do.

I stopped the car.

Prostitute: “Haraaami!!! Kamine! Gaari main hi karayga! Chal mujhe toh masla nahin hai! Kapre utaar k karayga ya aisay hi shru hona hai? Dekh mere kapre aggar phattay toh tu hi khareed kar dayga!”

I had actually heard enough.

Me: “Peechhle aadhe paune ghante se bolay jarahi ho..thakki nahin bol bol k?”

Prostitute: “Bol bol k? Abay kuss ke dhakkan..main din main chaar baar gaandh marwa k nahin thakti toh bol kar kese thakungi?”

She looked at me with a confused look.

Prostitute: “Mere ko lagta nahin k tujhe mujh main interest hai…sahi bolrahi hun naa main? Tujhe sirf apni muth nikaalni hai aur faarigh hona hai kyun k biwi se pakgaya hai!”

Me: “Main ne toh aisa kuch bhi nahin bola. Main ne toh sirf itna bola k baithjao. Baaki toh jitna bhi tha woh tm ne khud samajhliya aur boldiya”

Prostitute: “Abay dhandhe k time kyun barbaad kar raha hai bharwe! Wahan 15 garaahak aa kar chalay gaye hunge! Jaldi nikaal apna munna khilona, topi charha aur karle jo karna hai tujhe!”

I took out the cash I was carrying – 10K specifically – and placed it in her hand.

Prostitute: “Itna saara? Oh bharwe…main gang bang nahin karungi aur gaandh bhi nahin marwati hun! Tera lund meri gaandh ko aggar touch bhi kiya naa toh kaat dungi! Aur aggar tu ne mere mammay choosne ki koshish ki toh itni zor se chillaungi k pure log jama hojaayenge!”

Me: “Har waqt aisay hi baat karti ho?”

Prostitute: “Kyun? Tu mera baap hai jo main tujhse tameez se baat karun? Wese hota bhi toh bhi nahin karti! Kanjar ne meri hi gaandh maar k mujhe hi baichdiya tha sirf 900 rupiyon k liye!”

And hence, we had a starting point!

Me: “Achha..ab thori dair k liye apna mun bandh kar k sunno jo main kehraha hun. Main apni biwi se bahot pyaar karta hun. Mere ghar main maa-behnen bhi hain..”

Prostitute: “Haan..toh us main kiya hai..maa-behnen sub k ghar main hoti hain..phir bhi thandak hum randiyon k paas hi milti hai! Aur biwi toh bistar main sone k liye hoti hai. Araam toh humari choot hi deti hai!”

Me: “Chup! Bilkul chup!!!! Ek lafz nahin bolna ab aur sunno!!”

Prostitute: “Achha bhonk jo bhonkna hai!”

Me: “Mujhe tumhare saath kuch nahin karna. Naa sona hai, naa hi bistar garam karna hai aur naa hi kuch choosna hai. Mujhe sirf kuch sawaal puchhne hain..bas! Paise rakho! Paise tumhare waqt k hain.”

Prostitute: “Main haraam ki nahin khaati! Tu koi police waala toh nahin naa? Ya tv waala toh nahin naa?”

Me: “Aggar in main se koi hun, toh?”

Prostitute: “Nahin..tu ho nahin sakta. Woh pehle chhaati par zor se haath maarte hain…aur kameez phaarte hain..phir shalwar k andar ghussate hain haath aur zor se dabochte hain…phir apna program record karte hain.

She goes quite after this.

Prostitute: Tere paas toh camera bhi nahin hai. Shaqal aur baaton se toh shareef lagta hai…karta kiya hai tu? Mujhe kyun laaya hai? Kya chahiye hai tujhe?”

Me: “Likhta hun. Lekhakh hun. Kitaab likhraha hun apni.”

Prostitute: “Randiyon pe? Kyun..wese kam zakhm hain zindagi main jo aur utaarne hain kaaghaz pe”

Me: “Nahin. Randiyon pe nahin likhraha. Insaanon par likhraha hun. Tum ne media k logon ka toh batadiya..police waalon k baaray main nahin bataya.”

Prostitute: “Un k baaray main batanay k laiq kuch hai hi nahin. Aatay hain, baalon se ghaseeth kar gaari main daalte hain. Neeche lita dete hain aur haraamzaade apne maa k lund andar daalte hain aur dande se maarte hain gaandh par. Kabhi toh dil karta hai in haraamiyon ki bandook se in hi k lund par goli chaladun. Par jail nahin jaana. Jail chali gayi toh meri bachi ko kaun sambhalayga.”

Me: “Sub aisa karte hain? Aur police waale?

Prostitute: “Nahin..sub toh nahin karte..par ziada tar aisay hi karte hain. Phir chaahay woh aurat ho ya mard. Police waale..*she again laughs out loud*..woh toh hamari rakhailain hain. Neeche danda hota nahin hai toh qanoon ka danda ghusaate hain.”

Me: “Kitne bache hain?”

Prostitute: “Ek beti hai. Parh likh nahin sakti. Pata nahin kis k murda muth se paida hui thi.”

Me: “Arre..bachon k baare main aisa nahin bolo. Us ki toh galti bhi nahin bechaari ki”

Prostitute: “Toh meri kiya ghalti hai? Apni saheliyon k saath baag tak hi toh gayi khelne. Darr gayi thi…fail hogayi thi…maar se darr kar saheliyon k saath thi…Aisa toh kuch nahin kiya tha k mere baap ne mauqa dekh kar meri hi izzat chheen li. Main toh 12 saal ki bhi nahin thi.”

“Aur maa..jis k baaray main kehte hain..us k paun k neeche jannat hoti hai..mujhe meri maa dikh jaaye toh main us k paaun hi kaatdun!”

“Saali zaleel aurat mujhe bolti hai bardaasht karlo. Cream deti hai mujhe lagane k liye. Dawayi deti hai mujhe dard ki. Par jo dard rooh main horaha hai..us ki dawayi kahan se laun? Jo dard aas tak ko jaladaita hai..us ki dawaayi kahan se laun?”

Me: “Maa-baap zinda hain?”

Prostitute: “Baap ka toh pata nahin. Maa hai zinda. Main ne kabhi puchha nahin apne baap k baaray main. Maa bolti toh hai k kisi gutter main gir k margaya tha. Baaki pata nahin..sach bolti hai ya jhoot.”

Me: “Maa se milti ho?”

Prostitute: “Haan..tere timepaas se faarigh ho kar maa k paas hi jaungi. Buddhi hogayi hai toh ziada bolti nahin ab. Bas dekh kar magarmachh k aansu bhar leti hai. Par us ko bhi apna pait bharna hai isliye chup chaap paise rakh leti hai jo bhi deti hun.”

Me: “Abhi thori dair pehle apni maa ko gaaliyaan derahi thi aur abhi lehja hi badalgaya..aisa kyun?”

Prostitute: “Haan..tujhe is se kiya..meri maa hai! Jo bhi bolun usay! Tu kon hota hai bolne waala mujhe kuch? Tere baap ka toh nahin khaati naa main!? Jo bhi khaati hun, mehnat kar k khaati hun. Halaal khaati hun!”

Me: “Halaal khaati ho?”

Prostitute: “Haan! Ab yeh mat bolna k jism baich kar khaati ho..zina karti ho..wehsha ho..sub randi rona hai. Main jism baich kar khaati hun aur jo log bank main subeh shaam sood ginte hain..us ka kiya? Jo tum jese baray log kamate ho aur aa kar hum jaisi randiyon par uraate ho..us ka kiya? Jo nashe ka maal farogh karte hain, juay k adde chalate hain, sharaab k kaarkhaane chalate hain…in sub ka kiya? Yeh haraam hain! Sood ki toh wese bhi jang hai upar waale se!”

Me: “Upar waale se? Kaun se upar waale se?”

Prostitute: “Wohi jo sub karta dharta hai is duniya ka..jis ne tujhe mere sir baandh diya..dard bana kar!”

Me: “Main sir main dard kar raha hun? Achha..kaun hai woh upar waala? Naam nahin us ka koi?”

Prostitute: “Hai..nahin le sakti. Teri gaandh main keera hai koi?”

Me: “Kyun nahin le sakti?”

Prostitute: “Kitni char char karta hai tu? Tu hai kon?”

Me: “Kyun nahin le sakti naam?”

Prostitute: “Dekh..faaltu main dimaag ki nahin baja..main shor machadungi!”

Me: “Naam..kyun nahin le sakti naam?”

Prostitute: “Kyun k main naa paak hun! Main randi hun! Main zina karti hun! Roz raat ko 1000 rupay main apni rooh baichti hun main! Nahin le sakti naam!”

By now, things have gone a bit astray. She was already in tears and I was lost for words. Someone of her stature was scared to take the name of the Creator of the universe, because she believed she does not deserve to take HIS name. I was lost for words. I tried to carry on though.

Me: “Achha..gussa mat karo. Ek aakhri sawaal..phir jahan bologi..wahan chhordunga. Zindagi se kiya chahti ho? Kabhi chaaha k is daldal se bahir niklo? Kabhi chaaha k rooh ko saaf karo?”

She looked at my face and kept on looking for a few minutes. It was one of the most awkward pauses I have had during a conversation. I could not stare away from her, neither could she look away. I could see the tears in her eyes. And her reply, her reply left me speechless.

Prostitute: “Mera baap denum (denim) ki factory main kaam karta tha. Achha khaasi gharaana tha hamara. Ek hi beti thi main. Jahan se tu ne uthaaya mujhe..wahan se 2 galli aagay hi jaa kar 2 kamron ka flat tha hamara. Sub kuch bahot achha chalraha tha…mere 9th k result aane tak. Main paper main fail hogayi thi kyun k mera dil hi nahin lagta tha parhaayi main. Mera baap insaan achha tha..bas us main kuch aadatain buri thi: Sharaab, gussa, aur us ka tharakpan.

Main result le kar ghar aayi toh koi tha nahin. Main bag rakh kar apni sahelliyon k saath chali gayi. Kaafi time guzar gaya…main ghar nahin gayi waapis. Issi darr se k mera baap mujhe maarayga aggar jaungi toh. Aur kis mun se jaungi…

Main ese tese himmat kar k ghar gayi apne…intizaar kar rahay thay mera sub. Maa ne toh kuch naa bola aur gusse main andar chali gayi. Shayad us ko bhi nahin pata tha kya hona hai mere saath.

Mera baap saamne tha mere…nashe main dhut tha. Gusse se barha meri taraf aur mera haath ghaseet kar mujhe kamre main bandh kardiya. Main bolti rehgayi mujhe maaf kardo…ayenda parhungi. Par us k dimaag main aaj sirf hawas thi aur us ka gussa tha. Us ne apni hawas se mera jism choor choor kardiya aur rooh ko parwaan dedi. Main hil bhi naa saki. Subeh jab hui toh us ki aankh main fakhar tha aur meri saans main hichkiyaan thi. Phir raatain guzarti gayi aur hawas ki aag main…main jalti gayi.

Phir meri maa se nazar bacha kar mere baap ne mujhe ek bharwe ko baichdiya. Paisa chahiye tha sharaab k liye aur naukri jaa chuki thi.

Jab se paida hui thi tab se hi khatakti thi. Phir bhi haraami k liye main hi kaam aayi. Mera jism baich kar hi paise mile usse. Kehta tha aurat ka kaam sirf do hain: mard ki lund ki aas bhujaana aur roti pakana. Is main hi margaya…haraami!”

By now, I was lost for words.

“Aur kya..nikalne ki baat ki thi naa. Koshish kari thi nikalne ki. Par hamara network hi itna chhota hai k behnchodh jahan jao wahan ek randi ki nasal palrahi hoti hai. Chaiwaale se le kar government k baray afsar tak, hijre se le kar high-class aunty tak, sub k saath toh so chuki hun. Kahan jaungi? Izzat milaygi? Nahin. Koi naa koi takraajayega aur mujhe waapis issi daldal main dhakaildega. Toh kya zarurat hai. Khush hun. Chalraha hai. Do waqt ki roti kama leti hun. Bahot hai.”

“Arre..ek mast qissa batati hun. Ek daffa nikli is jhanjhat se toh kisi ne kaam lagwa kar diya. Nurse ka kaam tha. Kisi ki maa ki khidmat karni thi. Jab wahan pahunchi toh pata chala k yeh ghar mere ek customer ka tha. Mujhe toh masla nahin tha par shayad us haraami ko tha. Ek jhatke main hi nikaal diya us ne. Main waapis aagayi apni jageh par.”

Me: “Duniya waqayi bahot chhoti hai.”

Prostitute: “Haan..aur is duniya main rehne waalon k dil aur lund bhi…”

She laughed out loud. I couldn’t help but smile, because in her laughter, I could see the depth of pain she was hiding. I started the car and we didn’t utter a single word the whole way. She had tears in her eyes and she kept on counting the money. She asked me to drop her at a distant from her place; she did not wanted people to see my face. I stopped the car and she looked at me and said:

Prostitute: “Aggar beti paida karo toh us ki tarbiyat achhi karna aur izzat se bara karna. Us ki izzat se naa khelna. Warna issi gutter main maray huay miloge aur koi uthaane waala nahin hoga.”

“Chalti hun. Shukriya tumhare time ka. Yeh toh nahin kahungi k mazaa aaya aur paise bhi waapis nahin karungi. Kyun k mere waqt ki qeemat hai.”

Me: “Nahin chahiye. Chalta hun.”

I drove and didn’t look back. I couldn’t look back. I was ashamed of myself. Not as a person or as a gender, but as a human. I know I was not the culprit. I know I am not like her father. But, I am a human being. This feeling alone left me with a guilt. As a human and a citizen, I have failed.

This society has given me a status. What am I supposed to do with that? Use it as a weapon of mass destruction? Squashing souls after souls and leaving bodies to rot? That is a question that every human needs to ask to themselves.

Please follow and like us:

14 replies on “A Conversation With a Prostitute”

Thank you for the appreciation! This is narrated as it happened that evening. I had no intention of doing anything at all. It took me a long time to gather the courage to actually bring this forward. And I think I did a good job! 🙂

I feel bad that such people cannot leave their circumstances behind. Even if God forgives, people don’t.

Sleeping for fun is fine, but for money is wrong…oh the irony!

Wish more people like you could let such people live a better life

what a bitter reality and sure most of the girls have similar background if not the same and same future unfortunately

Leave a Reply to Immad Uddin Khan Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

HTML Snippets Powered By : XYZScripts.com